JAHAN MAIN REHTA HU.....
Woh mohalle ki tangg galiyon guzro toh.....
aakhir me mera makaan aata hai...
jahan hawa katrati hai aane sei...
suraj ki roshni bhi char ghar door dam todd jaati hai
rishte-daar inkar karte hai aane se....
aur mere dost chaurahe se milkar laut jaate hai...
woh dakiya mere naam ki chitti kisi..........
masoom bacche ke hath thama jaata hai...
joh kabhi milti hai....toh kabhi nau bankar tairti dikhti hai kuwee mein,
Eid ki sewaiyon ki khushbo pados ke makaan se aati hai har saal...
diwali ke diye bujhte rehe kyu kii koi usse badawa nahi deta.....
shamma intezaar karte hue khatm ho jaati hai...
par koi aata hi nahi....meri darwaze par,
mehmaan bhi main...
mezbaan bhi main,
mufliss bhi main.....
meherbaan bhi main,
Darr lagta hai ki kahi...
aakhri neend me soo gaya toh kaise pohoch sakuga apne mukaam par,
farishtey toh khudgarrz hai...rooh lekar chale jayege meri,
choddd jayege mera be-jaan jism...dusro ki mohtaji par uthhne ke liye,
isliye main bahar nukkad par baithta hu.....
aane-jaane walo ki shaklo mein ummr ke har badlaw ko parakhta hu...
kal uss khelte bachhe ji jagah main khel raha tha....
aj bas..... dekh raha huu
Tang hai mere mohalle ki galiyan............
jahan main rehta hu!
Dear sir, this is written by me, hope u like it
(Thank you Imran Khan: newworldstories editorial board
(Originally published:09/18/2010)

4 comments:
wow! Imran this is great! am so happy reading it!Good work!
thnkss mary bcoz of u my wordss r on thid platform/1!
Very nice work...keep it up...aasman ke aage ek jahan aur bhi hai...
imran... u deserve o be here... keep penning such wonderfulll words...
u have long way to go..... good luck!!!
Post a Comment